🏪 Franchise Business Se Paise Kaise Kamaye? Low Investment Franchise 2025

 🏪 Franchise Business Se Paise Kaise Kamaye? Low Investment Franchise Guide 2025

Franchise model


🔰 Introduction:

Agar aap apna khud ka business shuru karna chahte hain 

lekin naye brand banane ka risk nahi lena chahte, to franchise business to aapke liye ek behtareen option ho sakta hai. Franchise ek aisa business model hai jahan aap kisi Popular brand ke naam, product, aur support ka use karke apna business shuru kar sakte hain.


2025 me India me low investment franchise kaafi trending aur popular ho raha hai — log ghar baithe ya chhoti shop se ₹50,000–₹1 lakh mahina kama rahe hain. 

Aaiye is article me step-by-step samjhte hain ki franchise lekar paise kaise kama sakte hain.

💼 Franchisee Ban Kar Paise Kaise Kamaye? 

Franchise Bankar paise kamana


Franchisee ka mool mantra bada simple hai — aap kisi established aur Popular brand ke under kaam karte hain, jise customers already jaante aur bharosa karte hain. 

Aapko:

Kisi bade brand ke product/service bechne hote hain

Aur uspar ek Fixed income ya commission-based aapko profit milta hai

Brand aapko training, marketing, aur full  support milta hai aapka proper training aur product knowledge diya jata hai

📌 Example:

Agar aapne Gromo app ka microfinance franchise lete hai , to aapko insurance, demat, ya loan product bechne par ₹200–₹500 tak ki commission milti hai.

🌟 Franchise Business Ke Fayde:

1. ✅ Brand Trust – Pehle se established naam aur brand ka aaweareness hone se customer jaldi aate hain

2. ✅ Training & Support – Company aapko sab kuch sikhaya jata hai (sales, marketing, product) 

3. ✅ Low Risk – Pehle se brand awareness hone se failure ka ratio kaafi kam hota hai

4. ✅ Faster ROI – Aap 6–12 mahine me apni investment wapas nikaal sakte hain 

💸 Top Low Investment Franchise Ideas in India (Under ₹5 Lakh)

1. Gromo App Franchise (₹0 Investment)

Work from home model hai 

Sell financial products jaise  insurance, loans, demat, saving account sab becha sakte hai

Har product par uska profit margins set hota hai like Commission per sale: ₹200–₹1,000

Monthly income: ₹30,000–₹1,00,000

2. Amul Ice Cream Parlour (₹2–₹5 lakh)

Ye ek Popular dairy brand hai jisme kamai bahut tagadi hoti hai agar sahi location pe dala to 👉 jaise ( school, park, playground) 

Profit margin: 20–25%

High footfall area me profitable  bahut accha hai 

3. DTDC Courier Franchise (₹1.5–₹2.5 lakh)

Logistic/courier business ( kisi product ya saman ko ek jagah se dusare jagah tak bhejana 

Good for small towns, city ya village 

Consistent demand bahut jayada hain 

4. Patanjali Stores (₹3–₹5 lakh)

Ayurvedic and natural products (aajkal har koi health ko lekar jaagruk ho gaya hai aur gramin/sahari ilaakon me kaafi demand hai 

Support from Patanjali team

5. Lenskart Partner Program (₹2 lakh)

Eyewear selling + digital testing har koi apne hisaab se modify sunglasses pahanana pasand karta hain aur ye franchise aapke liye High profitable sabit ho sakta hai 

High-end( bahut jyada)  customers

Tech-driven operations

6. FirstCry (Baby Products) (₹3–₹5 lakh)

Targeted to new parents ( jo naye parents bane hai unko apna customer's bna kar aap achcha income kar sakte hai) ye franchise baccho ke liye Sabse best product banati hai.

High margin products

Franchisor training included

📈 Franchise Kaise Le? Step-by-Step Guide

1. Apne Interest Choose Karein – Health, food, courier, finance, ya retail?



2. Budget Decide Karein ( yaani aapka budget kitna hai – ₹50,000 se ₹5 lakh tak ke options available hain


3. Franchise Brand Final Karein ( kis brand ka product ki franchise lena chahate hain – Popular aur local demand wale brand chunein, apne location aur Market demand ke mutabik franchise le.


4. Official Website Ya Sales Team Se Contact Karein jo company ka official website hai waha se aap contact kar sakte hai.)


5. Agreement Aur Legal Paperwork Complete Karwaye.


6. Location Setup Karein (Offline) ya App Download Karein (Online Models ke liye) jo aapke liye suteble ho.


7. Marketing Start Karein – Posters, WhatsApp, Facebook, Reels se promotion karein


8. Sales & Earning Shuru Karein (apni income ka safar shuru karo)

⚠️ Naye Franchisee Jo Galtiyaan Karte Hain (Avoid These)

Avoid this mistake 


Sirf brand ka naam dekhkar invest karna kabhi na kare.

Local market ki demand ka analysis karke franchise model lo.

Jis brand ka franchise le rahe ho uska Agreement pura padhke hi  agreement sign karna chahiye.

Marketing me pura mehnat/effort na lagana

Training aur process ko halke/lightly me lena

❓ FAQs – Aapke Sawalon Ke Jawab

Q. Kya bina shop ke franchise mil sakta hai?

✅ Haan, Gromo jaise work-from-home franchise model available hain.

Q. Part-time me bhi franchise chala sakte hain?
✅ Haan, aap evenings ya weekends me bhi operate kar sakte hain (specially online models).

Q. Kitna time me paisa wapas aata hai (ROI)?
💰 Average 6–12 months me investment recover ho jata hai.

Q. Kya loan leke franchise lena theek hai?
⚠️ Sirf tab jab aapko model pe confidence ho aur demand tested ho.

🧠 Final Tips & Conclusion:

Final Tips & Conclusion



Franchise business ek proven aur low-risk model hai jo naye entrepreneurs ke liye best hai. Sahi brand, proper training aur consistent marketing se aap ₹50,000–₹1 lakh mahine tak kama sakte hain, wo bhi without building your own brand from scratch.

📌 2025 me agar aap chhoti investment me apna business shuru karna chahte hain, to franchise ek smart choice hai. Research karein, compare karein aur start karein — success aapke kadam chumegi.



Post a Comment

और नया पुराने